Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profileg
Gulzar

@GulzarPoetry

Sampooran Singh Kalra known popularly by his pen name Gulzar. Arguably the best poet and lyricist in India.

A tribute account by @Sifrings

ID:388272261

calendar_today10-10-2011 13:41:49

582 Tweets

184,4K Followers

17 Following

Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

aao phir nazm kahein
phir kisi dard ko sehlaake suja lein aankhein
phir kisi dukhti hui rag se chua dein nashtar
ya kisi bhooli hui raah pe mudkar ik baar
naam lekar kisi humnaam ko aavaaz hi de lein
phir koi nazm kahein

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

ek se ghar hain sabhi, ek se baashinde hain
ajnabi sheher mein kuch ajnabi lagta hi nahi

ek se dard hain sab, ek se hi rishte hain

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

kitaabo’n se kabhi guzro toh yoon kirdaar milte hain !
gaye waqto’n ki dyodhi mein khade kuch yaar milte hain !!

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

har ek shai bheeg bheeg kar dekh kaisi bojhal si ho ga'i hai
dimaagh ki geelee geelee sochon se
bheegee bheegee udaas yaadein tapak rahi hain
thake thake se badan mein bas dheere dheere
saanson ka garm lobaan jal raha hai

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

bas ek hi sur mein, ek hi lai pe subh se dekh
dekh kaise baras raha hai udaas paani
phuvaar ke malmalee dupatte se udh rahe hain
tamaam mausam tapak raha hai
palak palak ris rahi hai yeh kaa'enaat saari

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

kohre ki reshmi khusboo mein,
khusboo ki tarah hi lipte rahein
aur jism ke saundhe pardo'n mein
rooho'n ki tarah lehraate rahein.

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

ik raat chalo taameer karein
khamoshi ke sang-e-marmar par,
hum taan ke taareeki sar par
do shamm'ae jalaaye jismo'n ki.
jab oas, dabe paanv utre
aahat bhi na paaye saaso'n ki

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

Mirza Ghalib - 'Bazicha E Atfaal Hai Duniya Mere Aage' by Jagjit Singh - YouTube m.youtube.com/watch?v=-UsI9d…

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

na samandar nigal saka issko
na tavaareekh* tod paai hai

waqt ki mauj par sadaa behta
aadmi bulbula hai paani ka

[*ittihaas]

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

aadmi bulbula hai paani ka
aur paani ki behti sateh par
toot'ta bhi hai, doobta bhi hai
phir ubharta hai, phir se behta hai

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

halke-halke kohre ke dhuein mein
shayad aasmaan tak aa gayi hoon
teri do nigaahon ke sahaare
dekho to kahaan tak aa gayi hoon

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

kuch bhi qayam nahin hai kuch bhi nahin
aur jo qayam hai, bus ik main hoon
main jo pal-pal badalta rehta hoon

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

haath lagte hai mah-o-saal magar
ungliyon se phisalte rehte hain
dhoop-chaanv ki daud hai saari
kuch bhi qayam nahin hai kuch bhi nahin

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

kuch bhi qayam nahin hai kuch bhi nahin
raat-din gir rahe hain chausar par
aundhi-seedhi-si kaudiyon ki tarah

account_circle
Gulzar(@GulzarPoetry) 's Twitter Profile Photo

kitni aawaazein hain, yeh log hain, baatein hain magar
zehan ke peeche kisi aur hi sataha pe kahin
jaise chupchap barasta hai tasavvur tera

account_circle